Heart touching story, Dil ko chu lene wala kahani
Heart touching story
Ek aadmi office mein der tak kaam karne ke baad thaka - hara apne ghar pahucha, darwaza kholate hi usne dekh ki uska panch (5) saal ka beta sone ki bajaye uska intejaar kar raha hai.
Andar aate hi bete ne pucha - papa, kya mein aapse ek baat puchh sakta ho?
Papa ne kaha - Haan-Haan, puchho kya puchhna hai.
Beta - Papa, aap ek ghante me kitna kama late hai?
Papa - Isse tumhara kya lena dena hai. Tum yese bekaar ke sawal kyu kar rahe ho? Papa ne gusse me jawab diya.
Beta - mein bas yuhi jaanana chahta ho. please, batayi ki aap ek ghante mein kitna kamate hai?
Papa - 100 rupyaa gusse se uski taraf dekhta huye kaha.
Beta - Papa please mujhe 50 rupye udhaar de sakte hai. bete ne sar jhuka ke masumiyat se kaha.
Itna sunte hi wah aadmi bhuat gussa ho gaya, To tum isliye ye faltu ka sawal kar rahe the taaki mujhse paise lekar tum koi bekaar ka khilona ya galat saman kharid sako, chup - chapapne kamre mein jaao aur so jaao, socho tum kitne khudgarj ho.
mai din raat mehnat karke paise kamata ho aur tum usse bekaar ke cheezo mein barbaad karna chahte ho. yeh sun ke bete ki aankho mein aansu aa gaye, aur wah apne kamre mein chala gaya.
Aadmi abhi bhi gusse mein tha aur soch raha tha ki aakhir uske bete ki yesaa karne ki himmat kaise huyi.
Aadha - ek ghante ke baad thoda shant hua, aur sochne laga ki ho sakta hai, ki uske bete ko sach mein kisi jaruri kaam ke liye paise maage ho, kyuki aaj se pehle usne is tarah se paise nahi maange.
Phir wah apne bete ke kamre mein gaya aur bola, kya tum so rhe ho? beta ne jawab diya nahi.
Papa - Mein soch rha tha ki maine bekaar me hi tum par gussa kiya, Actually, din bhar ke kaam se mai bhuat thak gaya tha. Please mujhe maaf kar do, ye lo tumhare 50 rupye, yesa kehte huye usne apne bete ke haath mein 50 ka note rakh diya.
Beta - Thank you papa, bete ne khusi se paise lete huye kaha aur phir apni almaari ki taraf gaya, waha se usne bhuat saare sicke nikale aur ginane lga. Yah dekh kar wah aadmi phir gussa ho gaya, Jab tumhare paas pehle se hi paise the to tumne mujhse aur paise kyu maange?
Beta - kyuki mere paas paise kam the, ab pure hain.
Papa ab mere paas 100 rupye hain, kya mai aapka ek ghanta kharid sakta ho? Papa please, Aap ye paise le lijiye aur kal ghar jaldi aa jayiye, mein aapke saath baithkar khana khana chahta ho.
Apne bete ki muh se yesi baat sunke us aadmi ko bhuat dukh hua aur uske aankho mein aansu aa gaya, Usne apne bete ko sine se laga liya aur kaha mai wada karta ho kal se mai ghar jaldi aaunga.
Hello dosto,
Aapko ye Heart touching story kaise lagi please comment kare. Ipost me koi galti hai, ya mujhe koi suggestion dena chahte hai to comment karke bta sakte hai. Aap is post ko like and share karna mat bhule...
Thank you
0 comments:
Post a Comment