Romantic Ghazal in hindi
Romantic Ghazal in Hindi
Jawab jinka nahi wo sawal hote hai.
Jo dekhne me nahi kuch kamal hote hai.
Hasin hoti hai jitni bla ki do aankhe.
Usi blaa ke un aakho me jaal hote hai.
Jo dekhne me nahi kuch kamal hote hai.
Jawab jinka nahi wo sawal hate hai...
....*....
Ishq mujhko nahee, wehsat hi sahi,
Meri wehshat, teri shohrat hi sahi,
Ham bhi dushman to nahi apne,
Ghair ko tujh se mohabbt hi sahi,
Ham koi tarq-e-wafa karte hain,
Na sahi ishq, musibat hi sahi...
....*....
dil-e-naadan tujhe hua kya hai,
akhir is dard ki dawa kya hai,
hamko unse wafa ki hai ummeed,
jo nahi jante ki wafa kya hai,
ham hai mustaaq aur woh bezaar,
ya ilaahi, yeh majra kya hai,
jab ki tujh bin nahi koi moujood,
ya khuda, fir ye hangama kya hai,
jaan tum per nisaar karta hoon,
main nahi janta ki duaa kya hai...
....*....
fir mujhe deede-e-tar yaad aaya,
dil jigar tashna-e-fariyaad aaya.
dam liya tha na qa yaamat hanoz,
fir tera waqt-e-safar yaad aaya.
zindagi yon bhi guzar hi jaati,
kyu tera raah guzar yaad aaya.
koi weranee-se-weraan hai,
dost ko dekh kar ghar yaad aaya...
.....***.....
0 comments:
Post a Comment